Followers

Sunday, August 19, 2007

नज़म - हकीकत-ए-हाज़िरा



HAQIIQAT-E-HAAZIRAA

"Kaise hain aap", log amuuman humse yeh sawaal karte hain,
"Bas waqt kaaT rahe hain", hum bhhii aksar yeh keh dete hain,
Kuchh ajiib saa ho gayaa hai yeh waqt kaaTne kaa silsilaa -
Din kaT jaataa hai rozgaar mein, raat nahiin kaaT paate hain.

Kehane ko toh tuul-e-zindagi ke sirf chaar din muaiyyan hain,
Par yeh chaar din kaaTne mein bhii saal-aa-saal guzar jaate hain,
Zindagii rozmarraa ke Dharre par kuchh yuun chaltii jaatii hai ki -
Koyii toh mar mar ke jiite hain aur koyii jiite jii mar jaate hain.

Agar nahiin piite hain toh khauf-e-haqiiqat-e-haaziraa sataate hain,
Aur piite hain toh gham-e-zindagii zehan par chhaa jaate hain,
Piine aur naa piine kii bhii ajiib kashamkash hai apnii zindagii mein -
Pii kar hosh mein rehate hain aur naa pii kar behak jaate hain.

No comments: