Followers

Sunday, August 19, 2007

नज़म - हस्ब



HASB

Hasb-e-maamuul din kaT jaataa hai aur shaam Dhal jaatii hai,
Aur umr-e-ravaanii mein se ek aur din kii kamii ho jaatii hai.

Raftaa raftaa zindagii ke khaate mein se din nikalte jaate hain,
Khabar nahiin hai ki umr baRhtii jaatii hai yaa ghaTtii jaatii hai.

Kuchh bhuulnaa, kuchh yaad rakhnaa, kisii ke bas kii baat nahiin,
Yaad toh jaagtii aankhon mein bhii ik khwaab kii tarah aa jaatii hai.

Khaziinaa terii yaadon kaa toh yuun hii qaayam rahe mere paas,
Zindagii kaa kyaa hai, iss ko toh waqt kii diimak khaatii jaatii hai.

Tum toh daryaa-e-aab-e-hayaat ho, merii pyaas phir kyon qaayam hai,
Main aab-e-hayaat piitaa jaataa huun aur pyaas aur baRhtii jaatii hai.

No comments: