Followers

Sunday, August 19, 2007

ग़ज़ल



GAZAL

Woh jo kuchh bhii kehate hain, sun lete hain hum binaa hiil-o-hujjat ke,
Kehane ko toh bahut kuchh hai, par kahaa kahaa, naa kahaa naa kahaa.

Duniyaan mein kayii mukaam hain, zidagii kahiin bhii basar ho saktii hai,
Rehane ko toh bahut jagaah hai, par rahaa rahaa, naa rahaa naa rahaa.

Zindagii kaa kyaa hai, woh toh zulm-o-sitam sehkar bhii kaT jaatii hai,
Tum apne zulam jaarii rakho, humne sahaa sahaa, naa sahaa naa sahaa.

Daryaa kaa kaam toh hai chalnaa, woh har dam chaltaa hii rehataa hai,
Uss kii ravaanii pe naa jaao, paanii bahaa bahaa, naa bahaa naa bahaa.

Mohabbat ke kayii mukaam hote hain, lekin mohabbat hai to izhaar zaruuri hai
hum izhaar-e-mohabbat karte rahe, tumne sunaa sunaa naa sunaa naa sunaa

Chalo chalii ke iss mele mein har khaas-o-aam ishrat-e-jahaan maangtaa hai
Ham to faqiir hain hamaaraa kyaa, kuchh milaa milaa, naa milaa naa milaa

Intehaaii justaju-e-alfaaz aur dimaagii jadd-o-jahad ke baad taqmiil-e-gazal hotii hai,
Par yeh zarf zarf kii baat hai, ki kisii ne paRhaa paRhaa, naa paRhaa naa paRhaa.

No comments: