Followers

Tuesday, January 8, 2008

Wednesday, December 5, 2007

Tuesday, November 20, 2007

Thursday, November 15, 2007

Saturday, November 3, 2007

Saturday, October 27, 2007

Thursday, October 18, 2007

Monday, September 24, 2007

Thursday, September 13, 2007

Sunday, September 2, 2007

Wednesday, August 22, 2007

Sunday, August 19, 2007

नज़म - काला हाशिया

नज़म - भारत

नज़म - मुंबई ब्लास्ट्स

दो रुबाइयाँ - हिकारत

नज़म - पोशीदगी-ए-उल्फ़त

कविता - सहयात्री

कविता - प्रहार

नज़म - ग़म और खुशी

कविता - मुझे मानव ही बना रहने दो

अनमोल हैं ये मानव मूल्य, मुझे मानव ही बना रहने दो,
देव मूल्यों से अनभिज्ञ हूं, मुझे मानव ही बना रहने दो।

मानव योनी में जन्म लिया है मैंने, पूज्य तो मैं हूं नहीं,
अपने वर्तमान में प्रसन्न हूं, मुझे मानव ही बना रहने दो।

देवत्व की सामर्थ्य नहीं है, कहीं मानवता भी न बिसर जाए,
क्यों मुझे देव बनाने पर तुले हो, मुझे मानव ही बना रहने दो।

मानव बना रह के शायद मैं सुकार्थ जीवन व्यापन कर सकूं,
देव बनकर अहंकार ना हो जाए, मुझे मानव ही बना रहने दो।

यह तो कलियुग है, इसमें मानव तो दानवता पे उतर आता है,
क्षणभंगुर से इस जीवन में देव नहीं, मुझे मानव ही बना रहने दो।

माना कि देव बन भी जाऊं पर क्या देवत्व को संभाल पाऊंगा,
देव से तो मानव बनना कठिन होगा, मुझे मानव ही बना रहने दो।

चुरासी के जेलखाने से निकास मानव जीवन द्वारा ही संभव है,
इसे पाने को देवगण भी इच्छुक हैं, मुझे मानव ही बना रहने दो।

नज़म - क्या तुम ज़िंदा हो

कविता - स्वप्न और यथार्थ


कविता - ड़ूब ड़ूब जाता हूँ

नज़म - मुड़े हुए वर्क मेरी कहानी के

नज़म - तन्हाई

नज़म - तन्हा हूँ मैं

नज़म - चाँद की खातिर

नज़म - खुशी और ग़म

नज़म - गोंड , खुदा, रब्ब, भगवान

नज़म - बेचारगी

कविता - बैलगाड़ी

नज़म - इश्क और रिवायतें

नज़म - हस्ब



HASB

Hasb-e-maamuul din kaT jaataa hai aur shaam Dhal jaatii hai,
Aur umr-e-ravaanii mein se ek aur din kii kamii ho jaatii hai.

Raftaa raftaa zindagii ke khaate mein se din nikalte jaate hain,
Khabar nahiin hai ki umr baRhtii jaatii hai yaa ghaTtii jaatii hai.

Kuchh bhuulnaa, kuchh yaad rakhnaa, kisii ke bas kii baat nahiin,
Yaad toh jaagtii aankhon mein bhii ik khwaab kii tarah aa jaatii hai.

Khaziinaa terii yaadon kaa toh yuun hii qaayam rahe mere paas,
Zindagii kaa kyaa hai, iss ko toh waqt kii diimak khaatii jaatii hai.

Tum toh daryaa-e-aab-e-hayaat ho, merii pyaas phir kyon qaayam hai,
Main aab-e-hayaat piitaa jaataa huun aur pyaas aur baRhtii jaatii hai.

नज़म - हकीकत-ए-हाज़िरा



HAQIIQAT-E-HAAZIRAA

"Kaise hain aap", log amuuman humse yeh sawaal karte hain,
"Bas waqt kaaT rahe hain", hum bhhii aksar yeh keh dete hain,
Kuchh ajiib saa ho gayaa hai yeh waqt kaaTne kaa silsilaa -
Din kaT jaataa hai rozgaar mein, raat nahiin kaaT paate hain.

Kehane ko toh tuul-e-zindagi ke sirf chaar din muaiyyan hain,
Par yeh chaar din kaaTne mein bhii saal-aa-saal guzar jaate hain,
Zindagii rozmarraa ke Dharre par kuchh yuun chaltii jaatii hai ki -
Koyii toh mar mar ke jiite hain aur koyii jiite jii mar jaate hain.

Agar nahiin piite hain toh khauf-e-haqiiqat-e-haaziraa sataate hain,
Aur piite hain toh gham-e-zindagii zehan par chhaa jaate hain,
Piine aur naa piine kii bhii ajiib kashamkash hai apnii zindagii mein -
Pii kar hosh mein rehate hain aur naa pii kar behak jaate hain.

नज़म - दिल और दिमाग



DIL AUR DIMAAG

Dil-au-Dimaag mein jab bhii kabhii kisii mudde pe jadd-o-jahad hotii hai,
Dimaag kyonki maahir hai aiyaarii mein, uskii har nukte pe nazar hotii hai.

Lekin Dil toh sirf ek khushgawaar natiije kaa khwaahishmand hotaa hai,
Abb isse sahii kaho yaa galat, uskii soch toh bas ek-tarfaa hii hotii hai.

Dimaag kii har jaayaz zarb-au-taqsiim Dil ko naagwaar guzartii hai,
Lihaazaa Dimaag haath khaRhe kar detaa hai aur Dil kii jiit hotii hai.

Lekin kabhii kabhii haalaat kuchh yuun kaabuu se baahar ho jaate hain,
Dil toh bebas hotaa hii hai, Dimaag kii soch bhii naakaamyaab hotii hai.

Yeh maanaa ki har waqt-e-sahar-o-shaam Dil sabz baag dikhaataa hai,
Par jo ahmiyat Dimaag kii soch ko de kaamyaabii ussii ko haasil hotii hai.

ग़ज़ल



GAZAL

Woh jo kuchh bhii kehate hain, sun lete hain hum binaa hiil-o-hujjat ke,
Kehane ko toh bahut kuchh hai, par kahaa kahaa, naa kahaa naa kahaa.

Duniyaan mein kayii mukaam hain, zidagii kahiin bhii basar ho saktii hai,
Rehane ko toh bahut jagaah hai, par rahaa rahaa, naa rahaa naa rahaa.

Zindagii kaa kyaa hai, woh toh zulm-o-sitam sehkar bhii kaT jaatii hai,
Tum apne zulam jaarii rakho, humne sahaa sahaa, naa sahaa naa sahaa.

Daryaa kaa kaam toh hai chalnaa, woh har dam chaltaa hii rehataa hai,
Uss kii ravaanii pe naa jaao, paanii bahaa bahaa, naa bahaa naa bahaa.

Mohabbat ke kayii mukaam hote hain, lekin mohabbat hai to izhaar zaruuri hai
hum izhaar-e-mohabbat karte rahe, tumne sunaa sunaa naa sunaa naa sunaa

Chalo chalii ke iss mele mein har khaas-o-aam ishrat-e-jahaan maangtaa hai
Ham to faqiir hain hamaaraa kyaa, kuchh milaa milaa, naa milaa naa milaa

Intehaaii justaju-e-alfaaz aur dimaagii jadd-o-jahad ke baad taqmiil-e-gazal hotii hai,
Par yeh zarf zarf kii baat hai, ki kisii ne paRhaa paRhaa, naa paRhaa naa paRhaa.

नज़म - मुखौटे



MUKHAUTE

Iss zamaane mein har koyii apne chehre par ek mukhauTaa pehan kar chaltaa hai,
Akhlaaq-au-khuluus jaise paarsaa alfaaz mein bhii aaj ik syaahpan nazar aataa hai,
Insaanii chehraa toh faqat ‘tabula rasa’ hotaa hai, mukhauTe isse shakal dete hain –
Ek mukhauTe mein soz-e-dil kii jhalak miltii hai toh ek rang-au-nuur lekar aataa hai.

Mere paas bhii kayii mukhauTe hain, har mukhauTaa waqt zaruurat kaam aataa hai,
Mauke ke mutaabik mukhtalif kisam kaa mukhauTaa hameshaa maujuud rehtaa hai,
Aap farmaaish kar ke dekhiye, aapkii zaruurat ke mutaabik mukhauTaa mil jaayegaa -
Ek baar jo inn mukhauTon ko istemaal kar letaa hai woh innkaa muriid ho jaataa hai.

Ek mukhauTaa hai zabaran sii muskaan liye jo kissii ke bhii dil par chhaa jaataa hai,
Ek mukhauTaa hai guruur se bharaa huaa jisse dekhkar sab kaa dil dehal jaataa hai.
Hasb-e-maamuul waqt zaruurat mukhauTe badalnaa toh ik riwaayat sii ban gayii hai -
Liijiye sharaarat se bharpuur ek mukhauTaa, yeh kissii kaa bhii mann moh letaa hai.

Ek mukhauTaa hai murdnii chehre waalaa jo maatmii maukon par hii kaam aataa hai,
Ek mukhauTaa hai pur-nuur chehraa liye huye jo waqt-e-jashan istemaal hotaa hai,
Har mukhauTe kii apnii alag ahmiyat hotii hai jo zaruurat ke mutaabik kaam aatii hai -
Pesh hai ek mukhauTaa ranj-au-ghum se chuur jo dukhii dil kii pukaar ban jaataa hai.

Ek mukhautaa hai khuraafaatii dimaag waalaa, yeh ‘bhaaii’ logon kii milkiyat hotaa hai,
Ek mukhautaa hai naqlii sharaafat liye huye jo netaa logon kii dharohar kehlaataa hai,
Waah, janaab, waah, kyaa baat hai, yeh mukhauTe toh bahut hii kaam kii chiiz hain –
Aur dekhiye maasuumiyat se bharaa yeh mukhauTaa bhii jo har dil ko pasiij detaa hai.

आर्टिकल - कर्म ज्ञान

आर्टिकल - चार युग