DIL AUR DIMAAG
Dil-au-Dimaag mein jab bhii kabhii kisii mudde pe jadd-o-jahad hotii hai,
Dimaag kyonki maahir hai aiyaarii mein, uskii har nukte pe nazar hotii hai.
Lekin Dil toh sirf ek khushgawaar natiije kaa khwaahishmand hotaa hai,
Abb isse sahii kaho yaa galat, uskii soch toh bas ek-tarfaa hii hotii hai.
Dimaag kii har jaayaz zarb-au-taqsiim Dil ko naagwaar guzartii hai,
Lihaazaa Dimaag haath khaRhe kar detaa hai aur Dil kii jiit hotii hai.
Lekin kabhii kabhii haalaat kuchh yuun kaabuu se baahar ho jaate hain,
Dil toh bebas hotaa hii hai, Dimaag kii soch bhii naakaamyaab hotii hai.
Yeh maanaa ki har waqt-e-sahar-o-shaam Dil sabz baag dikhaataa hai,
Par jo ahmiyat Dimaag kii soch ko de kaamyaabii ussii ko haasil hotii hai.
Sunday, August 19, 2007
नज़म - दिल और दिमाग
Labels: नज़म at 3:10:00 PM Posted by H.K.L. Sachdeva
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment